hasb-e-mamul aae hain shakhon mein phul ab ke baras saya-afgan hain magar un par babul ab ke baras is tarah badla mohabbat ka usul ab ke baras hum bhi hain maghmum tum bhi ho malul ab ke baras jhonpadon se kat ke chandi ke bagule chal diye baala baala ud gai sone ki dhul ab ke baras itne gham itne masail itne unwan-e-sokhan hai juda har sher ki shan-e-nuzul ab ke baras kat gain sadiyan isi mauhum si ummid par aasman se hoga rahmat ka nuzul ab ke baras mit gai tahrir-e-qismat uth gae anjum-shanas aql khud karti hai tadbir-e-husul ab ke baras inqilab-asar hai raftar mah-o-sal ki kuchh to badlega zamane ka usul ab ke baras