lutf duniya to faqat dida-e-namnak mein hai shaikh sahab ki nazar aaj bhi aflak mein hai jis ne tamir kiya mujh ko lahu hathon se khak ho jaun ki wo shakhs bhi ab khak mein hai mujh ko majbur kiya hai meri majburi ne aaj bhi meri ana kaghzi poshak mein hai main jo bimar hua us ne ayaadat ki hai khu-e-rahmat bhi usi qatil-e-saffak mein hai ai dil-e-hijr-zada mujh ko na ruswa karna sharm thodi si abhi lahja-e-bebak mein hai meri ruswai mein shamil nahin mere chehre hakim-e-shahr magar aaj bhi is tak mein hai shahr-e-be-mehr mein zinda tha faqat main 'sahil' mere ehsas ka qatil meri poshak mein hai