bazm-e-hasti ko ba-sad-hasrat-e-tamir na dekh shama se rabt badha shama ki tanwir na dekh soz-e-fitrat kahin kaghaz pe utar sakta hai mera dil dekhne wale meri taswir na dekh teri sharminda-nigahi ki qasam hai tujh ko kis ke sine mein utarti hai ye shamshir na dekh tod sakta hai tilism-e-sahr-o-sham junun tauq-e-gardan pe na ja panw ki zanjir na dekh bare kaam aa to gaya khun-e-tamanna ai dost mera afsana meri shokhi-e-tahrir na dekh chhod jaana hai tujhe naqsh chaman mein apna fikr-e-anjam na kar hasil-e-tadbir na dekh tujh ko fitrat ke taqazon ki khabar kya zahid dekh rahmat ki nigahen meri taqsir na dekh dil ki har laghzish-e-masum pe sau khuld nisar masti-e-jurm samajh shorish-e-tazir na dekh dekh us ko ki jiye jata hai hans hans ke 'adib' mujh se pesh aati hai kyunkar meri taqdir na dekh