mohabbat ho to sham-e-gham bhi pur-tanwir hoti hai chamak si dil mein aankhon mein koi taswir hoti hai nazar aae bahut masrur arbab-e-chaman mujh ko nahin malum kya is khwab ki tabir hoti hai yahi tarikiyan gham ki payam-e-amn laengi andheron ke pas-e-parda sahar tamir hoti hai jawani ki khataon par sazaen dawar-e-mahshar kahin diwangi bhi qabil-e-tazir hoti hai nikal jate kabhi ke nikhat-e-gul ki tarah 'qaisar' magar khak-e-watan uth uth ke daman-gir hoti hai