duniya ki jafaen bhul gain taqdir ka shikwa bhul gae

duniya ki jafaen bhul gain taqdir ka shikwa bhul gae
jab un se nigahen chaar huin sab apna-paraya bhul gae

ek mast-e-nazar ne saqi ki rindon pe kuchh aisa sehr kiya
fikr-e-mai-o-mina kya kahiye zikr-e-mai-o-mina bhul gae

hum aur kisi ki bazm-e-tarab ye raaz samajh mein aa na saka
ai ishq kahin aisa to nahin wo hum ko bhulana bhul gae

us jaan-e-bahaaran ne jab se munh pher liya hai gulshan se
shakhon ne lachakna chhod diya ghunche bhi chatakna bhul gae

rahmat ka sabab thi pursish-e-gham lekin ye tamasha khub raha
wo chhed ke sunna bhul gae hum kah ke sunana bhul gae

kulfat mein maze aasaish ke phulon pe guman angaron ka
nashshe mein jawani ke goya hum fitrat-e-duniya bhul gae

barbaad-e-gham aise aise bhi dekhe hain isi duniya mein kabhi
hum jin ki shikasta-haali par do ashk bahana bhul gae

andaza-e-soz-e-gham na kiya ye bhul hui hum se pahle
phir us pe qayamat wo apne daman ko bachana bhul gae

tufan-e-mohabbat mein hum ne paya hai 'adib' is tarah sukun
aankhon se kinara ojhal tha dil se bhi kinara bhul gae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close