gar nashe mein koi be-fikr-o-tammul bandhe chashm-e-mai-gun ko teri jam-e-pur-az-mul bandhe zikr-e-qamat mein agar fikr taraqqi na kare rashk-e-tuba to likhe go ba-tanazzul bandhe taba ki silsila-jumban jo pareshani ho gesu-e-ghaaliya sa ko tere sumbul bandhe nala to wo hai ki ghabra ke utha de parda lek nazzare ki himmat bhi tahammul bandhe kuchh na ban aaegi jab lut machaegi khizan ghuncha har chand girah kas ke zar-e-gul bandhe ru-ba-ru us ke lab-e-arz-e-tamanna na hile zor-e-afsun-e-nazar se gae bilkul bandhe hain tere band-e-qaba uqda-e-dushwar mere ki jo khole na khule aur jo gae khul bandhe na bache par na bache sail-e-fana se na bache gar koi kangura-e-charkh pe bhi pul bandhe aankh khulne bhi na pai thi ki us ne fauran band burqe ke ba-andaz-e-taghaful bandhe hae wo said ki sayyaad ke pichhe lapke sar ko fitrak pe har-dam ba-tafawul bandhe