bazm-e-jaanan se nikalne ko to hum han nikle

bazm-e-jaanan se nikalne ko to hum han nikle
ghair ka bhi na ilahi koi arman nikle

ishq ke mahr jo nikle to ye arman nikle
dil diya jin ko wahi jaan ke khwahan nikle

gham na nikle mere dil se to kahin jaan nikle
ek arman to ai kasrat-e-hirman nikle

bazm-e-duniya mein nahin nam ko jamiyyat-e-dil
mutmain aae the hum aur pareshan nikle

pamba-e-dagh-e-jigar kuchh jo utha dun to abhi
ungliyan uthti hain wo akhtar-e-taban nikle

mehrban jaan ke dil jin ko diya tha hum ne
wo sitamgar sitam-kesh sitam-ran nikle

tu ne ai soz-e-darun phunk diye jaan-o-jigar
dil se nale bhi jo nikle sharar-afshan nikle

aap ki bazm mein hum aap se milne ke liye
khush khush aae the magar kya hi pasheman nikle

gardish-e-charkh ke qail hon jab apni bhi kabhi
koi hasrat kabhi nikle koi arman nikle

aap hon jalwa-numa raat ko mahtabi par
hum bhi to dekhen ki kyon kar mah-e-taban nikle

mahr ye husn-e-gulo-soz hai wo hosh-ruba
aaina-khane se wo aap bhi hairan nikle


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close