chale hain kaise wo muTThi mein dil chhupae hue

chale hain kaise wo mutthi mein dil chhupae hue
nazar churae hue aankh ko bachae hue

kisi ki shokhi-e-raftar ke mitae hue
uthe jo hashr ke din bhi to kasmasae hue

nahin hai manzil-e-maqsud dur ai salik
qasam khuda ki chala chal qadam badhae hue

haya bhi naz hai lekin na is qadar zalim
ki khwab mein bhi jo aae to munh chhupae hue

jawab shikwa-e-jaur-o-jafa ke azbar hain
sabaq rawan hain unhen ghair ke padhaye hue

na jaen bazm-e-adu mein ki pas-e-tamkin hai
hawa-e-did na le jae gar udae hue

samajh liya tha gae aap din-o-duniya se
suna jo hazrat-e-dil hain kisi pe aae hue

tumhaare kuche mein aghyar to nahin aate
kisi ke naqsh-e-qadam se hain kuchh mitae hue

rah-e-talash mein aaya na chain hum ko 'mehr'
ki khar-e-rah the talwon pe khar khae hue


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close