kuchh na khat mein na kuchh jawab mein hai jo bhi kuchh hai tere hisab mein hai ye wafa bhi jafa ke bab mein hai jaan meri bhi ek azab mein hai tere jalwe se mehr-e-alam-tab nur jis tarah mahtab mein hai apni hai aur manzil-e-maqsud aap ka kucha paturab mein hai kuchh na samjhe haqiqat-e-alam sara hangama ek khwab mein hai tum ne kya baat raat kah di thi ghair bhi aaj iztirab mein hai rashk-e-ishrat hai lazzat-e-hasrat kuchh gunah mein hai ne sawab mein hai hosh aaega ab qayamat ko sari duniya abhi to khwab mein hai jab se wada kiya hai aane ka 'qadri' un ke roab-o-dab mein hai