harf hun apne maani dhundhta hun mein haqiqat mein kahani dhundhta hun tang aa kar tangi-e-kaun-o-makan se apne andar be-karani dhundhta hun chhanta hun khak sahra-e-adam mein apne hone ki nishani dhundhta hun meri har jaanib nae chehre saje hain ab koi surat purani dhundhta hun mangta hun tarz-e-nau rasm-e-kuhan se khushk dariya mein rawani dhundhta hun aarzu ke bich mutthi mein dabae zist ke sahra mein pani dhundhta hun harf ki hiddat se lab jalne lage hain ab zaban-e-be-zabani dhundhta hun jo sikha de aashti ahl-e-zamin ko wo kitab-e-asmani dhundhta hun