dayar-e-husn se guzre to sar jhuka ke chale

dayar-e-husn se guzre to sar jhuka ke chale
wahan to tir-e-nazar sirf dilruba ke chale

har ek qadam pe hai khatra-e-chaak-damani
kahan-kahan koi daman bacha-bacha ke chale

shajar pe jism ke hone lagi 'ayan qudrat
use kaho ki wo panw daba-daba ke chale

thaka thaka sa badan ye sadak namak roti
khuda ka shukr hai jhonke abhi hawa ke chale

dhuan-dhuan sa hai har samt rah-e-manzil mein
unhon ne raushni pai jo dil laga ke chale

na jaane kitne fasane gadhe raqibon ne
zara sa 'nazr' jo shurfa bhi ladkhada ke chale


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close