riyasat jab bhi dahti hai nawase dukh uthate hain kahin puncture banate hain kahin tanga chalate hain badi mushkil se ye do waqt ki roti kamate hain sahar se sham tak footpath par qismat banate hain jamura sar khujata hai madari hath malta hai tamasha dekh kar bad-maash bachche bhag jate hain kisi ke sath rahna aur us se bach ke rah lena khuda hi jaane kaise log ye rishta nibhate hain hazaron log milte hain to un mein ek samajhta hai badi mushkil se hum bhi dosti mein sar jhukate hain