bazm-e-surud-e-KHuban mein go mardnagin shahin bajin

bazm-e-surud-e-khuban mein go mardnagin shahin bajin
sath faqir ki dholak ke par dham-dhamyan rangin bajin

nala-kashi se raat jo gulshan rashk-e-bazm-e-ishrat tha
minqaren murghan-e-chaman ki subh talak jun bin bajin

tujh se na kahta tha main zahid mai-khane ki rah na chal
aakhir tujh par raste hi mein taliyan o be-din bajin

main jo nashe mein raat hua ghatpat us mashuq ki chhati sath
pazeben panw ki us ke kya hi ba-sad tamkin bajin

shama rahi shab jab tak jalti mujh ko na aai nind zara
jhanjhen parwane ke paron ki bas ki sar-e-baalin bajin

balbe mizaj-e-nazuk tera nind uchat gai us gul ki
baaliyan patton se jo ulajh kar raat sar-e-baalin bajin

wada kar ke jab wo na aaya sair-e-chaman ko dil ne kaha
raat gai chal bagh se ab ghadiyan to kai ghamgin bajin

ji ka kudhana mere tha manzur magar ghadyalon ki
wasl ki shab jo ta-ba-sahar ghadyalen be-ain bajin

dedh pahar thahrunga ye kah ki yar mere ghar aaya tha
par ghabra ke jaane ko uttha junhi pahar par tin bajin

bang-e-hamir se kam wo na samjha bas ki nafis-mizaj tha yar
naqusen but-khanon mein har chand ba-sad tazin bajin

aae bahtari ho ke malaek mar jo gaya aashiq tera
naubaten kya kya shadi ki marqad mein dam-e-talqin bajin

wasl ki shab aakhir hone ka 'mushafi' dhadka kya main kahun
ji hi gaya bas tan se nikal jab tin pahar par tin bajin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close