main us ko bhul gaya tha wo yaad sa aaya zamin hili to main samjha ki zalzala aaya phir is ke baad kai raste kai ghar the wo mod tak mujhe ruk ruk ke dekhta aaya main us ko dhundne nikla to mere jaane ke baad gali gali mujhe ghar tak wo puchhta aaya juda hue to zaman o makan ke buad ke sath jo rah mein tha dilon mein wo fasla aaya main aaina to nahin hun pa ek soch mein hun tu khud-numai ke jauhar kahan chhupa aaya 'salim' tark-e-rah-o-rasm tark-e-ishq nahin jidhar se guzre udhar us ka rasta aaya