jumbish-e-kakul-e-mahbub se din dhalta hai hae kis khubi-e-uslub se din dhalta hai phenk kulfat-zada suraj pe bhi chhinte us ke jis mai-e-dilkash-o-marghub se din dhalta hai koshish-e-banda-e-dana nahin kaamil hoti sohbat-e-banda-e-majzub se din dhalta hai mehr ke walwala-e-rast se pau phatti hai mehr ke jazba-e-maqlub se din dhalta hai saqiya ek 'adam' ko bhi phureri us ki jis khanakte hue mashrub se din dhalta hai