dard tera mere dil ko be-mahaba mil gaya yani khud qatre se aa kar aaj dariya mil gaya tum ne dekha ek nazar sab kuchh hi goya mil gaya dard ka darman mila gham ka mudawa mil gaya aaj kyon aaina dekha ja raha hai bar bar sach batao kya tumhein koi tumhin sa mil gaya dekh lena dastan-e-dard ki ranginiyan aansuon mein apne ab khun-e-tamanna mil gaya sainkadon sajde kiye meri jabin-e-shauq ne jis jagah par aap ka naqsh-e-kaf-e-pa mil gaya kaise kaise jauharon ko pis dala charkh ne tere hathon ai ajal mitti mein kya kya mil gaya dakhl shauq-e-dil ko tha meri bala-noshi mein kuchh chashm-e-saqi ki taraf se kuchh ishaara mil gaya 'nami'-e-afsurda shauq-e-justuju dil mein nahin warna fart-e-shauq ne jab us ko dhunda mil gaya