bazm mein zikr mera lab pe wo lae to sahi wahin malum karun hont hilae to sahi sang par sang har ek kuche mein khae to sahi par bala se tere diwane khae to sahi go janaze pe nahin qabr pe aae wo meri shikwa kya kije ghanimat hai ki aae to sahi kyunki diwar pe chadh jaun koi kahta hai panw katunga angutha wo jamae to sahi para-e-mushaf-e-dil the tere kuche mein pade aate panw ke tale shukr ki pae to sahi saf be-parda nahin hota wo ghurfa mein na ho rauzan-e-dar se kabhi aankh ladae to sahi gah badhata hai gahe mah ko ghatata hai falak par shab-e-hijr ko hum dekhen ghatae to sahi karun ek nale se main hashr mein barpa sau hashr shor-e-mahshar mujhe sote se jagae to sahi gir pade the kai us kuche mein dil ke tukde aate panw ke tale shukr ki pae to sahi the tumhin nikle jo us dam-e-bala se ai 'zauq' warna the pech mein us zulf ke aae to sahi