juda rahta hun main tujh se to dil be-tab rahta hai chaman se dur rah ke phul kab shadab rahta hai andhere aur ujale ki kahani sirf itni hai jahan mahbub rahta hai wahin mahtab rahta hai muqaddar mein likha kar lae hain hum boriya lekin tasawwur mein hamesha resham-o-kam-khwab rahta hai hazaron bastiyan aa jaengi tufan ki zad mein meri aankhon mein ab aansu nahin sailab rahta hai bhale lagte hain schoolon ki uniform mein bachche kanwal ke phul se jaise bhara talab rahta hai ye bazar-e-hawas hai tum yahan kaise chale aae ye sone ki dukanen hain yahan tezab rahta hai hamari har pareshani inhi logon ke dam se hai hamare sath ye jo halqa-e-ahbab rahta hai badi mushkil se aate hain samajh mein lucknow wale dilon mein fasle lab par magar aadab rahta hai