khud hi taslim bhi karta hun khataen apni aur tajwiz bhi karta hun sazaen apni koi dekhe to ada-kariyan karna us ka band aaine mein karti hai adaen apni main sukhan-war hun so khamosh nahin rah sakta main ne aankhon mein basai hain sadaen apni kya zamana tha ki hum khub jacha karte the ab to mange ki si lagti hain qabaen apni mal hai pas na hum charb-zaban hain 'mohsin' shahr mein kis tarah phir sakh banaen apni