bazm sanwarun ghazlen gaun jine ke andaz banaun har dam ro ro khun ke aansu kyun aankhon ki aab ganwaun kab tak dal ke bahkane par tare gin gin raat bitaun in ko mera dhyan nahin hai main kyun apni jaan ganwaun mera gham kis ne khaya hai main kyun duniya ka gham khaun sab se tark-e-talluq kar lun khud se rasm-o-rah badhaun marne walon ko marne dun jine walon ko apnaun har mayyat ke sirhane 'shohrat' naghme chhedun jashn manaun