shuur-e-hosh se begana kah diya hota zara si baat thi diwana kah diya hota hui ye khair na dekha meri taraf warna nigah-e-shauq ne afsana kah diya hota agar na hotin in aankhon ki mastiyan makhsus to aam logon ne mai-khana kah diya hota kaha har ek ne mujh ko tumhaara diwana kabhi to tum ne bhi diwana kah diya hota mere sabab se zamane ka kyun liya ilzam hai aadmi koi diwana kah diya hota ye waqia hai agar shahr mein na hote tum to main ne shahr ko virana kah diya hota na badhti baat mohabbat mein is qadar 'saib' jo us ne apnon mein begana kah diya hota