bekasi-e-shab-e-hijran ki mujhe tab nahin kash dushman hi chale aaen jo ahbab nahin tujh ko ai bakht-e-siyah aag laga kar dekhun shab-e-hijran mein agar jalwa-e-mahtab nahin dekh but-khane mein taswir ka aalam ai shaikh yan musalla nahin mimbar nahin mehrab nahin nama-bar mujh se ye kahta hai ki tum to kya ho baadshah bhi to wahan qabil-e-alqab nahin na mile mujh ko mere haal pe rone wale aish kaisa ki yahan gham ke bhi asbab nahin haal-e-dil jis se kaha us ne kaha bas khamosh 'dagh' is dard ke sunne ki hamein tab nahin