bazu-e-na-tawan mein jumbish to dekhiye sham-e-fasurda se uthi sozish to dekhiye apne hi daeron mein sabhi daudte phiren is daur ki riyazat-e-warzish to dekhiye mazlum par hi lagte hon ilzam jab yahan is dahr mein fuzul ki pursish to dekhiye barson se gunge-pan ki hamein milti rahi dad hum par hukumaton ki nawazish to dekhiye aasudgi jahan pe numayan thi ab talak barpa hai kis qadar wahan shorish to dekhiye bhatke jo apni rah se salar-e-qafila sabit-qadam hujum ki larzish to dekhiye mangi nahin thi mahr-e-tawajjoh kabhi magar be-wajh ye saza ye nikohish to dekhiye le kar zamin ke tukde ye 'dushyant' se udhaar khud apna ghar banane ki koshish to dekhiye