surkh aankhen hain zard manzar hai zindagi ret ka samundar hai surat-e-haal puchh lo hum se dil hai ghamgin aankh bhi tar hai kaise manzil na ho qarib mere jab mera hi shuur rahbar hai main ye khud bhi nahin samajh paya qarz kis ki nazar ka mujh par hai main andheron mein kho nahin sakta ishq se dil mera munawwar hai ru-ba-ru aaine ke mat jaana hath mein aaine ke patthar hai ek tufan hai us ki khamoshi zindagi us ki ek samundar hai rab salamat rakhe khudi meri ye imarat bhi aaj jarjar hai jis ka hota nahin dilon mein qiyam aadmi wo 'adib' be-ghar hai