suna tu ai baghban haal-e-tabiat-e-gul na jaane kyon aaj matami hai nawa-e-bulbul ye thik hai aadmi mein thoda rahe tawakkul magar usi ke sahaare zinda rahe na bilkul charagh kab tak yahan jalega ye kaun jaane hawa ki raftar tai karegi jale ki ho gul main jaun kyunkar nikal ke sehra se rah-e-gulshan na aalam-e-rang bhae mujh ko na nikhat-e-gul tulua hogi sahar dahan-e-falak se aakhir wagarna tariki hi azal se rahi tasalsul ye bais-e-be-rukhi jo 'naqid' samajh mein aaya wo khair-andeshi hi thi mana jise taghaful