be-bason pe yatimon pe hansti rahi

be-bason pe yatimon pe hansti rahi
fiqre be-kas pe duniya ye kasti rahi

kuchh bhi duniya mein us ka to apna nahin
phir bhi kyon jaan duniya mein phansti rahi

chahi jo neamaten tum wo khate rahe
budhi man dekh kar hi tarasti rahi

main bulandi ki parwaz karta raha
jo rahi meri manzil so pasti rahi

shukr har haal mein kyon na karta bhala
aazmaish meri tang-dasti rahi

umr bhar zindagi ko main rota raha
umr bhar zindagi mujh pe hansti rahi

ek su barhami ek jaanib khushi
dil ke jo pas thi dil mein basti rahi

baad rukhsat ke 'tanwir' ye chashm-e-nam
kyon use dekhne ko tarasti rahi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close