be-bulae hue jaana mujhe manzur nahin un ka wo taur nahin mera ye dastur nahin lan-tarani ke ye mani hain baja hai dawa dekhe be-parda tujhe koi ye maqdur nahin wo kahan taj kahan takht kahan mal o manal qabil ab bhik ke bhi kasa-e-faghfur nahin be-ibaadat na khuda bakhshega subhan-allah aisi firdaus se hum guzre ki mazdur nahin main wo mai-kash hun na rakkhun kabhi bhule se qadam koi kah de ye agar khuld mein angur nahin dam-ba-dam uthte hain tufan jo 'barq' ashkon ke nuh ka waqt nahin aankh hai tannur nahin