be-haqiqat duriyon ki dastan hoti gai ye zamin misl-e-sarab-e-asman hoti gai kis kharabi mein hua paida jamal-e-zindagi asl kis naql-e-makan mein raegan hoti gai tangi-e-imroz mein aainda ke aasar hain ek zid badh kar kisi sukh ka nishan hoti gai dusre rukh ka pata jis ko tha wo khamosh tha wo kahani bas isi rukh se bayan hoti gai ek sada utthi to ek aalam hua paida 'munir' ek kali mahki to pura gulsitan hoti gai