rang-e-dil rang-e-nazar yaad aaya tere jalwon ka asar yaad aaya wo nazar ban gai paigham-e-hayat halqa-e-sham-o-sahar yaad aaya ye zamana ye dil-e-diwana rishta-e-sang-o-guhar yaad aaya ye naya shahr ye raushan rahen apna andaz-e-safar yaad aaya rah ka rup bani dhup apni koi saya na shajar yaad aaya kab na us shahr mein patthar barse kab na us shahr mein sar yaad aaya ghar mein tha dasht-nawardi ka khayal dasht mein aae to ghar yaad aaya gard udti hai sar-e-rah-e-khayal dil-e-nadan ka safar yaad aaya ek hansti hui badli dekhi ek jalta hua ghar yaad aaya is tarah sham ke sae phaile raat ka pichhla pahar yaad aaya phir chale ghar se tamasha ban kar phir tera rauzan-e-dar yaad aaya kisi patthar ki haqiqat hi kya dil ka aaina magar yaad aaya aanch daman-e-saba se aai eatibar-e-gul-e-tar yaad aaya dil jala dhup mein aisa ab ke panw yaad aae na sar yaad aaya gar pade hath se kaghaz 'baqi' apni mehnat ka samar yaad aaya