be-hifazat hi mera ganj-e-maani rah gaya ret par likh kar main khud apni kahani rah gaya chal diye sab dost mujh ko dubta hi chhod kar gham batane ke liye dariya ka pani rah gaya jab kabhi kholi hai main ne bite lamhon ki kitab der tak padhta main tahriren purani rah gaya jhad gae patte mere jitne meri shakhon pe the ban ke apni ek dhundli si nishani rah gaya jam gaya hai barf ki surat mera sara badan dur mujh se dur suraj aan-jahani rah gaya lafz thak kar so gae kaghaz ke pahlu mein magar jagta anjum mera husn-e-maani rah gaya