kis ne di mujh ko sada kaun-o-makan ke us taraf muntazir hai kaun mera aasman ke us taraf jaane kab donon milen aapas mein sayon ki tarah do musafir chal rahe hain kahkashan ke us taraf tai kiya main ne safar jaldi ki main jaldi mein tha rah gaya saya mera donon jahan ke us taraf ek na ek sar par rahega jitna main uncha gaya aasman kuchh aur bhi hain aasman ke us taraf par utrunga to wo mujh ko utha le jaega ek sahra khushk bahr-e-be-karan ke us taraf koi sargoshi-numa aawaz bhi aati nahin kitni gahri khamushi hai la-makan ke us taraf