dara dara ke mere sare dar nikalta hai 'ajab ‘ilaj mera chaaragar nikalta hai adhure-pan ki mukammal dalil hun lekin kasar nikalne wala kasar nikalta hai tera khuda bhi ho tujh jaisa aur de tujh ko darakht aisa jo gin kar samar nikalta hai saron pe hath zehanat badha nahin sakta ye aur baat ki andar ka dar nikalta hai kisi ki yaad bhi ab ta-sahar nahin rahti khayal hai ki pahar-do-pahar nikalta hai faza koi bhi ho fitrat badal nahin sakti qafas mein qaid parinda bhi par nikalta hai wo ghair mausami barsat yaad hai tum ko aur ek shakhs jo khidki se sar nikalta hai 'amit' wo kar-e-siyasat ke masale ye hujum jo hal nikal na pae khabar nikalta hai