bina dekhe tujhe apna bana kar dekh leta hun main tere aastan par sar jhuka kar dekh leta hun suna hai raaz chahat ka chhupana sakht mushkil hai teri taswir aankhon mein chhupa kar dekh leta hun andhere dil ki basti ke bhi shayad dur ho jaen main tere nam ki mashal jala kar dekh leta hun shikayat doston ki hai mere ahbab ke lab par chalo ab dushmanon ko aazma kar dekh leta hun wo gul jaan-e-bahaar-e-arzu hai log kahte hain use shakh-e-tamanna par saja kar dekh leta hun mujh kuchh bhi nahin hasil hua unchi udanon se qadam apni zamin par ab jama kar dekh leta hun dua apne liye main ne kabhi mangi nahin koi teri khatir main hath apne utha kar dekh leta hun paron mein un ke kitni taqat-e-parwaz baqi hai parinde apni sochon ke uda kar dekh leta hun kahan pahunchega mera karwan-e-shauq ai 'shahid' main apne aap ko rahbar bana kar dekh leta hun