dariyaon se nur liya aur miTTi ko pur-nur kiya

dariyaon se nur liya aur mitti ko pur-nur kiya
hariyali ko dharti man ke mathe ka sindur kiya

patthar ko aakar diya kuchh zewar-shewar lad diya
aur phir us dewi ko apni raksha par mamur kiya

suraj taish mein aa ke sari fasl jalane wala tha
abr ki talkh-kalami ne is mitti ko kafur kiya

aazar sang-tarashi chhod ke shishagar ban baitha tha
ek ajab tahrik mili aur khud ko chakna-chur kiya

ek shagufa jhumar tha gulzar ke chanchal mathe ka
ek kali ke murjhane ne baghicha be-nur kiya

raj-kumari bhid ki jaanib muskai aur laut gai
jaane kitnon ko lalchaya kitnon ko maghrur kiya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close