be-kasi se marne marne ka bharam rah jaega wo zarur aaenge jab aankhon mein dam rah jaega kya khushi mein zindagi ka hosh kam rah jaega gham agar mit bhi gaya ehsas-e-gham rah jaega hae wo ek aalam-e-be-tabi-e-pinhan ki jab fasla manzil se apna do-qadam rah jaega chhed di main ne agar rudad-e-husn-e-shash-jihat na-mukammal qissa-e-dair-o-haram rah jaega