be-khudi hai na hoshiyari hai baada-khwari si baada-khwari hai husn masruf-e-parda-dari hai jaane ab kis nazar ki bari hai tu ne dekhi to hogi ai naseh wo mohabbat jo ikhtiyari hai kam nahin shorish-e-nafas lekin zindagi par jumud tari hai gham-e-ulfat to dil se haar chuka ab gham-e-zindagi ki bari hai jis chaman mein kabhi na aae bahaar us chaman ki khizan bhi pyari hai hae wo baada-kash ki jis ne 'shakil' zindagi be piye guzari hai