bekar gai aad tere parda-e-dar ki allah-re wusat mere aaghosh-e-nazar ki pi shauq se waiz are kya baat hai dar ki dozakh tere qabze mein hai jannat tere ghar ki iman ki daulat se tere husn ka sauda iman ki daulat hai teri ek nazar ki aa jae tasawwur mein koi hashr-ba-daman phir meri shab-e-gham ko zarurat hai sahar ki wo samne hain phir bhi unhen dhundh raha hun aakhir koi had bhi hai hijabaat-e-nazar ki tanhai-e-furqat mein jo aalam hai idhar ka hangama-e-mahfil mein wo haalat hai udhar ki kuchh sahl na pae hain mohabbat ke maraatib chhani hai bahut khak teri rah-guzar ki