be-khabar hote hoe bhi ba-khabar lagte ho tum dur rah kar bhi mujhe nazdik-tar lagte ho tum kyun na aaun saj sanwar kar main tumhaare samne khush-ada lagte ho mujh ko khush-nazar lagte ho tum tum ne lams-e-mo'tabar se bakhsh di wo raushni mujh ko meri aarzuon ki sahar lagte ho tum jis ke sae mein aman milti hai meri zist ko mujh ko jalti dhup mein aisa shajar lagte ho tum kyun tumhaare sath chalne par na aamada ho dil khushbu-e-ehsas mere ham-safar lagte ho tum 'naz' tum par naz karti hai mohabbat ki qasam zindagi bhar ki duaon ka asar lagte ho tum