dil mein khayal-e-nargis-e-jaanana aa gaya phulon se khelta hua diwana aa gaya baadal ke uthte hi mai o paimana aa gaya bijli ke sath sath pari-khana aa gaya maston ne is ada se kiya raqs-e-nau-bahaar paimana kya ki wajd mein mai-khana aa gaya us chashm-e-mai-farosh ki tasir kya kahun honton tak aaj aap hi paimana aa gaya malum kis ko qais ki diwangi ki shan hangama sa bapa hai ki diwana aa gaya 'akhtar' ghazab thi ahd-e-jawani ki dastan aankhon ke aage ek pari-khana aa gaya