hairan hai aankh chashm-e-inayat ko kya hua duniya mein rasm-o-rah-e-mohabbat ko kya hua mana ki shahr-e-husn mein jins-e-wafa nahin lekin jahan mein ishq ki daulat ko kya hua aati hai yaad roz khud aati nahin magar yarab hamari sham-e-masarrat ko kya hua waqt-e-widaa zard hua rang-e-rukh agar rang-o-bahaar-e-ariz-e-fitrat ko kya hua thi hum ko aql se to na pahle hi kuchh umid 'nayyar' junun ke faiz-o-karamat ko kya hua