be-KHabar kaise koi raaz-e-nihan tak pahunche

be-khabar kaise koi raaz-e-nihan tak pahunche
baat dil se kahin nikle to zaban tak pahunche

sahiban-e-khirad-o-hosh bhatakte hi phire
aur diwanon ka ji chaha jahan tak pahunche

tere diwanon ki manzil koi manzil hi nahin
kya khabar un ko kahan aae kahan tak pahunche

in mazalim ka ye anjam nai baat nahin
sainkadon bar qayamat ke nishan tak pahunche

rahbar koi na tha aur nishanat na the
dil khizar ban ke chala hai to wahan tak pahunche

khak hi khak nazar aaya hamein apna wajud
bhes badle hue go bazm-e-jahan tak pahunche

teri ejaz-bayani ke ye charche 'ejaz'
ab to har bazm mein har ahl-e-zaban tak pahunche


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close