khulti nahin hai is liye meri zaban-e-gham ghabra na jae sun ke kahin dastan-e-gham is aashiqi mein koi nai baat to nahin ek na-tawan si jaan bani hai jahan-e-gham ye bhi kisi tarah se gawara nahin mujhe auron ki ho zaban se mera bayan-e-gham karta hai sabr-o-zabt se mehman-nawaziyan dil ban gaya hai shauq se khud mezban-e-gham sar bhi jhuka liya hai isi dil ke samne 'ejaz' ke liye hai yahi aastan-e-gham