sharab pine ki aadat bahut purani hai mere shabab ki baqi yahi nishani hai wo baada-khwar se khunkhar ho gaya kyunkar use sunate ho jis ki likhi kahani hai qadam zamin pe lekin nazar falak-paima har ek zamana mein mashhur naujawani hai junun ke kuche mein kuchh roz to thahar jao khirad mein biti jo umr-e-rawan wo fani hai kabhi udas kabhi qahqahe lagati hai samajh lo dosto ye zindagi diwani hai suna hai hum ne bhi khamosh mufsidon ki qasam nazar lage na faza shahr ki suhani hai