be-khud hain tere jalwa-e-tauba-shikan se hum hain be-niyaz baada-e-ranj-o-mehan se hum wo bhi junun-e-ishq mein madum ho gae jo naqsh le chale the teri anjuman se hum guldasta-e-bahaar ne dil se laga liya baad-e-khizan ke hathon jo nikle chaman se hum milte the pahle shauq ko sahra nae nae ab to junun mein khelte hain pairahan se hum har bul-hawas ko dawa-e-mansur ho gaya ab jaan-ba-lab hain nara-e-dar-o-rasan se hum qadren bhi hausle bhi masail bhi ishq bhi zulf-e-ghazal sajate hain kis bankpan se hum dil kya gaya 'kalim' gain guf-fishaniyan uljhe hue hain daman-e-khar-e-watan se hum