jo mahtab lage hai kabhi gulab lage use qarib se dekhen to ek sarab lage har ek shakhs pe apni nazar nahin tikti ho intikhab to aisa ki intikhab lage ajib wasl hai lagta hai hijr ho jaise teri khamosh-nigahi hamein azab lage bas ek bar tera nam kya liya hum ne zara si baat pe logon ko hum kharab lage ye kya ki hijr ne hum se yaqin chhin liya wo samne ho hamare hamein ye khwab lage gunahgar hun nisbat hai ism-e-ahmad se so apna nam bhi lena mujhe sawab lage