dagh-e-gham-e-hayat farozan hai in dinon ruh-e-bahaar khar-badaman hai in dinon aazad ho ke jashn-e-bahaaran manaen kya ye dil to waqf-e-zahmat-e-zindan hai in dinon kya hoga ghuncha-ha-e-tamanna ka dekhiye gulchin ki dastaras mein gulistan hai in dinon duniya-e-mehr-o-lutf-o-wafa khwab ho gai insan sitam-rasida-e-insan hai in dinon chadhne laga hai dil pe bhi tarikiyon ka rang maddham si apni sham-e-shabistan hai in dinon lafz-e-sukun sirf kitabon mein rah gaya har-dam khayal-e-gardish-e-dauran hai in dinon dil ka qarar chain na jine ki aarzu kashti hi nazr-e-shorish-e-tufan hai in dinon yan aabru-e-fikr-e-sukhan bhi gai 'kalim' ab kya bataen kaun ghazal-khwan hai in dinon