bit gaya hangam-e-qayamat roz-e-qayamat aaj bhi hai tark-e-talluq kaam na aaya un se mohabbat aaj bhi hai sakht sahi hasti ke marahil-e-ishq mein rahat aaj bhi hai ai gham-e-jaanan ho na gurezan teri zarurat aaj bhi hai gulshan-e-husn-e-yar mein karte hain jo talash-e-kaif-o-sukun lakh hai barham nazm-e-do-alam zulf mein nikhat aaj bhi hai nur-e-sahar hai jaan-e-tasawwur zulmat-e-shab se kaun dare lakh bani hai zist jahannam samne jannat aaj bhi hai subh-e-bahaar aai thi le kar rut bhi nai shakhen bhi nai ghuncha-o-gul se pyar hai lekin shakh se nafrat aaj bhi hai arz-e-tamanna kar ke ganwaya hum ne bharam khuddari ka ho gai go takmil-e-tamanna dil ko nadamat aaj bhi hai kar ke sitam ki parda-poshi hum ne unhen be-aib kiya warna 'shakil' apne honton par harf-e-shikayat aaj bhi hai