bich yaron ke tere nam ka charcha karna mujh ko aata hi nahin pyar ko ruswa karna ek tufan sa sine mein uthaya karna yaad hai mujh ko tera chhat se ishaara karna dur basti se hamara kahin tanhai mein rah milne ki shab-o-roz hi paida karna subh aaegi to jalwe tere dikhlaegi raat bhar mera isi mauj mein jaga karna khwab aate the magar pal mein bikhar jate the tujh ko pana tha sitaron ki tamanna karna ahd-o-paiman jo kiya tha to nibhate jate kya kahun sikh liya tum ne kinara karna