hans kar main zindagi ki aziyyat uthaunga tere liye sukun ke lamhe banaunga main ne badal liya hai rawayya hawa-e-shab ab tu diya bujhaegi main phir jalaunga chal hi padegi chaaron taraf baad-e-nau-bahaar jab main zamin pe aakhiri patta giraunga farzi hikayaton pe na aansu ganwao tum yaro kabhi main apni kahani sunaunga phailaunga main daman-e-dil tere samne tu sochta hai main tera ehsan uthaunga ek pal mein ek waqia rakkhunga dhyan mein aur dusre hi pal mein use bhul jaunga 'sayyad' ab us ki rah mein aankhen huin safed jo kah gaya tha tere liye laut aaunga