majburiyon ka pas bhi kuchh tha wafa ke sath wo raste se phir gaya kuchh dur aa ke sath qurb-e-badan se kam na hue dil ke fasle ek umr kat gai kisi na-ashna ke sath sath us ke rah sake na baghair us ke rah sake ye rabt hai charagh ka kaisa hawa ke sath main jhelta raha hun azab is ka umr bhar bachpan mein ek ahd kiya tha khuda ke sath pahle to ek khana-e-viran ka shor tha ab dil bhi gunjta hai kharosh-e-hawa ke sath ye rang-e-dast-e-naz yunhi to nahin 'salim' dil ka lahu bhi sarf hua hai hina ke sath